Take a fresh look at your lifestyle.

Aaie Aapako Main Apane Bangale Ki Sair Karaaun Lyrics

0

Aaie Aapako Main Apane Bangale Ki Sair Karaaun Lyrics

Song Lyrics from the movie Joroo Ka Ghulam starring Rajesh Khanna, Nanda, Om Parkesh, Ramesh Deo, Nana Palsikar, Achla Sachdev, Manmohan Krishna, Alka, Moolchand, Iftekhar, Sharad Kumar, Manisha, Gurnam, Mridula, Jay Shree T, Narbada Shankar, Komal, Kabir. The film was released in the year 1972. Music was composed by Kalayanji, Anandji, Babla, Jai Kumar, and lyrics were penned by Anand Bakshi.

Movie Details

Movie: Joroo Ka Ghulam

Singer/Singers: Asha Bhosle, Kishore Kumar, Lata Mangeshkar

Music Director: Kalayanji, Anandji, Babla, Jai Kumar

Lyricist: Anand Bakshi

Actors/Actresses: Rajesh Khanna, Nanda, Om Parkesh, Ramesh Deo, Nana Palsikar, Achla Sachdev, Manmohan Krishna, Alka, Moolchand, Iftekhar, Sharad Kumar, Manisha, Gurnam, Mridula, Jay Shree T, Narbada Shankar, Komal, Kabir

Year/Decade: 1972

Music Label: Saregama India Limited

Song Lyrics in English Text

Aayiye Aapko Mai Apne Bangle Ki Sair Karau
Chhote Se Ik Parivar Ka Aapse Mel Karu
Aayiye Aapko Mai Apne Bangle Ki Sair Karau
To Ye Mera Bangla Hai Aur Ye Mai Hu

Maine Samajha Prem Pyar Ko Ek Savan Ka Jhula
Tauba Meri Tauba Mai To Shadi Karke Bhula
Haal Hua Ye Arey Dekho Mera
Haal Hua Ye Dekho Mera Logo Ban Kar Dulhaa
Sej Ke Badale Meri Kismat Me Likha Tha Chulha
Sej Ke Badale Meri Kismat Me Likha Tha Chulha
Ye Meri Prem Katha Hai Aur Ye Mai Hu

Inki Kya Tarif Karu Insaan Hai Ye Kuch Aise
Inase Miliye Kon Hai Ye Nadan Hai Ye Kuch Aise
Man Ko Bhi Dhan Se Tole Dhanvan Hai Ye Kuch Aise
Mujhse Bhi Anjan Mehman Hai Ye Kuch Aise
Ye Mere Saas-sasur Hai Aur Ye Mai Hu

Vaise Hai Is Desh Me Sab Kuch Kahane Ko Azadi
Mere Mukh Par Chup Ka Tala Mai Aisa Faryadi
Chain Se Soyi Hai Vo Dekho Samane Ik Shahazadi
Bhul Se Kar Baithi Vo Mujh Jaise Kangal Se Shadi
Ha Vah Meri Biwi Hai Aur Ye Mai Hun
Mai Hu, Mai Hu, Mai Hu, Ha Ji Ha Vo Mai Hu

Leave A Reply

Your email address will not be published.