Take a fresh look at your lifestyle.

Jab Bhi Ji Chahe Nai Duniya Basa Lete Hai Log Lyrics

0 1,437

Jab Bhi Ji Chahe Nai Duniya Basa Lete Hai Log Lyrics

Sad song from the movie Daag starring Sharmila Tagore, Rajesh Khanna, Rakhee, Prem Chopra, Madan Puri. The film was released in the year 1973. Music was composed by Laxmikant Kudalkar, Pyarelal and lyrics were penned by Sahir Ludhianvi.

Movie Details

Movie: Daag

Singer/Singers: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Rajesh Khanna

Music Director: Laxmikant Kudalkar, Pyarelal

Lyricist: Sahir Ludhianvi

Actors/Actresses: Sharmila Tagore, Rajesh Khanna, Rakhee, Prem Chopra, Madan Puri

Year/Decade: 1973

Music Label: YRF Music

Song Lyrics in English Text

Jab Bhi Ji Chahe Nayi Duniya Basa Lete Hai Log
Jab Bhi Ji Chahe Nayi Duniya Basa Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log
Jab Bhi Ji Chahe Nayi Duniya Basa Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log

Yaad Rahta Hai Kise Guzre Zamane Ka Chalan
Yaad Rahta Hai Kise
Sard Pad Jati Hai Chahat Haar Jati Hai Lagan
Ab Mohabbat Bhi Hai Kya Ik Tijarat Ke Siva
Hum Hi Nadan The Jo Odha Biti Yaado Ka Kafan
Varna Jine Ke Liye Sab Kuchh Bhula Lete Hai Log
Varna Jine Ke Liye Sab Kuchh Bhula Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log

Jane Wo Kya Log The Jinko Wafa Ka Paas Tha
Jane Wo Kya Log The
Dusre Ke Dil Pe Kya Guzregi Ye Ehsaas Tha
Ab Hai Patthar Ke Sanam Jinko Ehsaas Na Ho
Wo Zamana Ab Kaha Jo Ahal-e-dil Ko Raas Tha
Ab To Matlab Ke Liye Naam-e-wafa Lete Hai Log
Ab To Matlab Ke Liye Naam-e-wafa Lete Hai Log
Jab Bhi Ji Chahe Nayi Duniya Basa Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log
Ek Chehre Pe Kayi Chehre Laga Lete Hai Log

Song Lyrics in Hindi Font/Text

जब भी चाहे नई दुनिया बसा लेते हैं लोग
एक चेहरे पे कई चेहरे लगा लेते हैं लोग

याद रहता है किसे ग़ुज़रे ज़माने का चलन
सर्द पड जाती है चाहत, हार जाती है लगन

अब मोहब्बत भी है क्या, एक तिजारत के सिवा
हम ही नादां थे जो ओढा बीती यादों का कफ़न
वर्ना जीने के लिए सब कुछ भुला लेते हैं लोग

जाने वो क्या लोग थे जिन को वफ़ा का पास था
दुसरे के दिल पे क्या गुज़रेगी ये एहसास था

अब हैं पत्थर के सनम जिनको एहसास ना ग़म
वह ज़माना अब कहाँ जो अहले दिल को रास था
अब तो मतलब के लिए नाम-ए-वफ़ा लेते हैं लोग

Leave A Reply

Your email address will not be published.