Take a fresh look at your lifestyle.

Koi Jab Tumhara Hriday Tod De Lyrics

0 2,348

Koi Jab Tumhara Hriday Tod De Lyrics

A song from the movie Purab Aur Paschim starring Saira Banu and Manoj Kumar. The film was released in the year 1971. Music was composed by Kalyanji Anandji and lyrics were penned by Indeevar.

Movie Details

Movie: Purab Aur Pachhim

Singer/Singers: Mukesh

Music Director: Kalyanji Anandji

Lyricist: Indeevar

Actors/Actresses: Saira Banu and Manoj Kumar

Year/Decade: 1971

Music Label: Saregama India Limited

Song Lyrics in English Text

Koi Jab Tumhaaraa Hriday Tod De
Tadaptaa Huaa Jab Koi Chhod De
Tab Tum Mere Paas Aanaa Priye
Meraa Dar Khulaa Hai Khulaa Hi Rahegaa
Tumhaare Liye
Koi Jab Tumhaaraa Hriday Tod De

Abhi Tumko Meri Zaroorat Nahin
Bahut Chaahne Waale Mil Jaayenge
Abhi Roop Kaa Ek Saagar Ho Tum
Kaval Jitne Chaahogi Khil Jaayenge
Darpan Tumhen Jab Daraane Lage
Jawaani Bhi Daaman Chhudaane Lage
Tab Tum Mere Paas Aanaa Priye
Meraa Sar Jhukaa Hai Jhukaa Hi Rahega
Tumhaare Liye
Koi Jab Tumhaaraa Hriday Tod De
Tadaptaa Huaa Jab Koi Chhod De

Koi Shart Hoti Nahin Pyaar Mein
Magar Pyaar Sharton Pe Tumne Kiyaa
Nazar Mein Sitaare Jo Chamke Zaraa
Bujhane Lageen Aarti Kaa Diyaa
Jab Apni Nazar Mein Hi Girne Lago
Andheron Mein Apne Hi Ghirne Lago
Tab Tum Mere Paas Aanaa Priye
Ye Deepak Jalaa Hai Jalaa Hi Rahega
Tumhaare Liye
Koi Jab Tumhaaraa Hriday Tod De
Tadaptaa Huaa Jab Koi Chhod De

Song Lyrics in Hindi Font/Text

कोई जब तुम्हारा हृदय तोड़ दे
तड़पता हुआ जब कोई छोड़ दे
तब तुम मेरे पास आना प्रिये
मेरा दर खुला है खुला ही रहेगा
तुम्हारे लिये, कोई जब …

अभी तुमको मेरी ज़रूरत नहीं
बहुत चाहने वाले मिल जाएंगे
अभी रूप का एक सागर हो तुम
कंवल जितने चाहोगी खिल जाएंगे
दरपन तुम्हें जब डराने लगे
जवानी भी दामन छुड़ाने लगे
तब तुम मेरे पास आना प्रिये
मेरा सर झुका है झुका ही रहेग
तुम्हारे लिये, कोई जब …

कोई शर्त होती नहीं प्यार में
मगर प्यार शर्तों पे तुमने किया
नज़र में सितारे जो चमके ज़रा
बुझाने लगीं आरती का दिया
जब अपनी नज़र में ही गिरने लगो
अंधेरों में अपने ही घिरने लगो
तब तुम मेरे पास आना प्रिये
ये दीपक जला है जला ही रहेग
तुम्हारे लिये, कोई जब …

Leave A Reply

Your email address will not be published.